Suno! Kia Tum Ne Kabhi Serhad Dekhi Hai
Sarhad K Paar Apna Gher Hota Hai
Kuch Ajnabi Si Khushiaa
Kuch Shanasa Gham Hote Hain
Thore Paree Se Apne
Kuch Apnow Jase Paray Hote Hain
Jab K Serhad K Dusre Par
Ghaial Krne Vala Jani Dushman
Kantow Vali Baar Khandakien Aur Pehredar
Mein Bhi Aaj Eik Esi Serhad Per Kherha Hun
Meri Aur Tumhari Mohabbat Ki Serhad
Serhad K Is Paar Mera Sub Kuch Hai
Kamyabiaa Kamraniaa Shadmaniaa
Ezaat Dolat Shohrat K Sukh
Mager Serhad K Us Paar
Ghaat Lagae Bethi Aik Dushman Mohabbat
Zinda Qaid Aur Kafas
Raswaioow Ki Khandak
Aur Badnamiow Ki Khardar Taar
Aur Mein Dhalti Sham K Sayee Taale
Is Serhad k Beech Kherha Hun
Yeah Soch Raha Hun K Wapas Loot Jaow
Ya Mohabbat ki Yeah Serhad Paar Kr Loow
Kyun K Serhad K Is Janib Mera Sub Kuch Hai
Jab K Serhad K Us Paar Tum Ho
Comments