top of page
Search
Writer's picturePoetry Universe

Manh Ke Jugnoow Jala Linge



Suna Hai Jahan Beraf Perti Hai Us jagah Ki Kachi Galiow Mein Sar e Sham Endhere Utter Ate Hain Hum Baraf Se Koi Rasta Nikalien Gy Maan K Jugnoow Jala Leien Gy Mere Parow Mein Peri Yeah Sabaz Pakdandiaa Aik Barafposh Choti Ko Jati Hain Jahan Sooraj Bhi Dhoop Sakne Ko Ata Hai Hum Wahin Apna Makan Bana Leien Gy Aur Maan K Jugnoow Jala Leien Gy Abhi Raste Kathan Aur Manzalien Seraab Hain Abhi Meri Rahow Mein Jane Kitne Sehra Kitne Jangle Aabad Hain Hum Inhi Janglow Ko Dost Bana Leien Gy Aur Maan K Jugnoow Jala Leien Gy Is Gaoow Mein Mera Purana Kacha School Hai Jis Ki Dewarow Per Aaj Bhi Naam Likha Hai Chlo Eik Baar Phir Beraf Se Inhi Sab Takhtiow Ko Dho Dalien Aur School Se Pare Dhalti Sham Mein Hum Maan K Jugnow Jala Leien Gy Aur Suno Kabhi Ager Tum Dobara Yahan Se Guzro To Raste Se Kuch Khawab Laay Ana Phir Hum Apne Bastow Se Eik Nai Tabeer Nikalien Gy Aur Sab Mil Ker Maan K Jugow Jala Leien Gy


18 views0 comments

Recent Posts

See All

Dreams

Commentaires


bottom of page